✿ Haram Say Parhaiz


Hazrat Abdullah Bin Umar Razi Allah Anhu
Agar Tu Itni Namzain Parhay Keh Teri Peeth Dohri Ho Jai Aor Itnay Rozay Rakhy Keh Tu Baal Ki Tarah Bareek Ho Jai In Cheezon Ka Us Wqat Tak  Koi Faida Nahin Jab Tak Tu Haram Say Parhaiz Nahin Karay Ga

✿ Dunya Ka Sab Say Khubsorat Poda


✿ Dunya Ka Sab Say Khubsorat Poda Muhabat (Sharee)  ka Hota Hai Jo Zameen Par Nahin Dilon Main Ugta Hai

✿ Zindagi Rangeen Khyalaat


Zindagi Thujh Par Bohat Ghor Kiya Main Nay 
Tu Rangeen Khayaalat Kay Siwa Kuch Nahin

✿ Apnay Say Ghareeb Ko dekh Kar Shukar Karna


Agar Insaan Apnay Say Ameer Ko Dekh Kar Shikwah Karnay Kay Bajai Apnay Say Ghareeb Ko Dekh Kar 
Shukar Karnay Lag Jai Tu Is Ki Pareshaniyan Hal Honay Lag Jain 

✿ Jo Naseehat Maan Lay


Jo Shakhs Naseehat Maan Lay Woh Baaz Aoqaat Naseehat 
Karnay Walay Say Bhi Bara Hota Hai

✿ Hamara Aor Rahman Kay Arsh Ka Fasla


✿ Hazrat Imam Ahmad Bin Hambal Rahmatullah se Pocha Gya .....Hamara Aor Rahman Kay Arsh Ka Fasla Kitna Ho Ga.....??
Farmaya.....
Aik Aawaaz Denay Ka Jo Sachay Dil Say Nikli Ho ✿

✿ Eid Aor Us Ki Khushyan


Hazrat Umar Razi Allah Anhu Apnay Dor e Khilafat 
Main Eid Par Yeh Farmatay Thay keh 
Eid Aor Us Ki Khushyan Tu Un Logon Kay Liye Hain Jin Ki Ibadaat Aor Rozay Allah Qabool Farma Leta Hai