✿ Shukar Guzaar


✿ Hamesha Allah Kay Shukar Guzaar Raho Agar Aik Nigah Tumhain Haqarat Say Dikhay Tu Mat Bholo Keh So Nigahain Tum Par Rashk Bhi Karti Hain

✿ Jhoot


✿ Jo Jitna Acha Jhoot Bolta Hai Yeh Dunya Isi Ki Hoti Hai Lakin Phir Is Ki Aakhirat Nahin Hoti

✿ Jahaiz


  Kisi Ghareeb Ki Beti Say Jhaiz lenay Say Behtar Hai Keh 

                                 Kisi Ameer Say Bheek Maang Lo

✿ Daana Aadmi


✿ Daana Aadmi Kabhi Bhi Kisi Bhi Halat Main Allah Kay Siwa kisi Ko Apna Hajat rawa Khyaal Nahin Karta Chahay Woh Ba Murad Ho Ya Bay Murad .Iski Peshani Sirf Aor Sirf Malik Haqiqi Ki Chokhat Par Sijdah Raiz Rehti Hai.Agar Dua Qabool Bhi Nahin Hoti Tu Bhi Allah Say Na Umeed Nahi n Hota Balkeh Apni Khami Say Aagah Ho Kar Phir Dast e Dua Buland Karta Hai.

✿ Gharor


✿ Do Tarah Ki Chezain Dikhnay Main Choti Nazar Aati Hain 
Aik Door Say 
Dosra Gharor Say

✿ Bebasi Ka Ilaaj


✿ Bebas Insaan Ka Sajdah Hi Bebasi Ka Ilaaj Hai

✿ Mutadil Raah


✿ Imam Shafi R.A ka Aik Hakimana Qual ✿
Logon Kay Sath Tursh Rooi Say Pesh Aana Logon Ko Dushman Bna leta Hai Aor Bohat Ziyada Khanda Peshani Buray Hum Nashinon Ki Hosla Afzaai Karti Hai ,Lehaza Tursh Rooi Aor Bohat Khanda Peshani Kay Darmiyaan Mutadil Raah Akhtyaar Karo.

✿ Apnay Hissa Ka Chiragh


✿ Hamain Woh Sooraj Honay Ka Dawa Nahin Jis Say Har Tareeki Khatam Ho ......
   Hum Tu Apnay Hissay Ka Chiragh Jala Rahay Hain Keh Andhairi Raat Main Chiragh Ki Roshni Bhi Ghaneemat Hai.

✿ Daaimi Muhabbat


✿ Daaimi Muhabbat Sirf Aik Hoti Hai , Aisi Muhabbat Jisay Kabhi Zawaal Nahin Aata Aor Woh Muhabbat Sirf Aor Sirf Allah Ki Muhabbat Hai ,Dosri Har Muhabbat Ki Aik Muddat Hoti Hai Pehlay Iski Shidat Main Kami Ati Hai Phir Woh Khtam Ho Jatai Hai

✿ Waqt Kay Sath Sath


✿ Waqt Kay Sath Sath Bohat Kuch Badal Jata Hai 
Loog Bhi,Rishtay Bhi , Aor Kabhi Kabhi Hum Khud Bhi

✿ Masrooof Insaan


 Insaan Is Dunya Main Itna Masrrof Hota Hai Keh Us ko Pata Hi Nahin 
Chalta kehUs Ka Kafan ka Kapra Bazaar Main Biknay Kay Liye A gya Hai

✿ Tars


                 Loog Toot Jatay Hain Aik Ghar Bananay Main
                             
                    Tum Tarasa Nahin Khatay Bastiyan Jalanay Main

✿ Tobah Ki Tofeeq


✿ Maafi Aor Tobah Ki Tofeeq Bhi Muqadar Walon Ko Naseeb Hoti Hai Warna Aankhon Par Lohay Kay Parday Aor Kanon Main Seesa Pighla Diya Jata hai Ansaan kay Sochnay Samjhnay Ki Har Salahiyet Salb Kar Li Jati Hai

✿ Haram Say Parhaiz


Hazrat Abdullah Bin Umar Razi Allah Anhu
Agar Tu Itni Namzain Parhay Keh Teri Peeth Dohri Ho Jai Aor Itnay Rozay Rakhy Keh Tu Baal Ki Tarah Bareek Ho Jai In Cheezon Ka Us Wqat Tak  Koi Faida Nahin Jab Tak Tu Haram Say Parhaiz Nahin Karay Ga

✿ Dunya Ka Sab Say Khubsorat Poda


✿ Dunya Ka Sab Say Khubsorat Poda Muhabat (Sharee)  ka Hota Hai Jo Zameen Par Nahin Dilon Main Ugta Hai

✿ Zindagi Rangeen Khyalaat


Zindagi Thujh Par Bohat Ghor Kiya Main Nay 
Tu Rangeen Khayaalat Kay Siwa Kuch Nahin

✿ Apnay Say Ghareeb Ko dekh Kar Shukar Karna


Agar Insaan Apnay Say Ameer Ko Dekh Kar Shikwah Karnay Kay Bajai Apnay Say Ghareeb Ko Dekh Kar 
Shukar Karnay Lag Jai Tu Is Ki Pareshaniyan Hal Honay Lag Jain 

✿ Jo Naseehat Maan Lay


Jo Shakhs Naseehat Maan Lay Woh Baaz Aoqaat Naseehat 
Karnay Walay Say Bhi Bara Hota Hai

✿ Hamara Aor Rahman Kay Arsh Ka Fasla


✿ Hazrat Imam Ahmad Bin Hambal Rahmatullah se Pocha Gya .....Hamara Aor Rahman Kay Arsh Ka Fasla Kitna Ho Ga.....??
Farmaya.....
Aik Aawaaz Denay Ka Jo Sachay Dil Say Nikli Ho ✿

✿ Eid Aor Us Ki Khushyan


Hazrat Umar Razi Allah Anhu Apnay Dor e Khilafat 
Main Eid Par Yeh Farmatay Thay keh 
Eid Aor Us Ki Khushyan Tu Un Logon Kay Liye Hain Jin Ki Ibadaat Aor Rozay Allah Qabool Farma Leta Hai